Artist: Nusrat Fateh Ali Khan
Title: Mast Nazron Se (altr. Must Nazron Se) w/ My Tooti Phooti English Translation
Album: Mast Nazron Se
Length: 6:26
Comments: ...!

Mast Nazron Se Allah Bachae
Mahjamalon Se Allah Bachae
Her Bala Sir Peh Aa Jaye Laikin
Husn Waloon Se Allah Bachae

Inki Masomiat Per Na Jana
Inke Dhokay Mein Hargiz Na Aana
Loot Laitay Hein Yeah Muskara Ker
Inki Chaalon Se Allah Bachae

Bholi Surat Hai Baatein Hein Bholi
Moon Mein Kuch Hai Magar Dil Mein Kuch Hai
Laakh Chehra Saheeh Chaand Jaisa
Dil Ke Taalon Se Allah Bachae

Dil Mein Hai Khuwahish E Hoor O Jannat
Aur Zahir Mein Shouq E Ibadat
Bus Hamein Shaikh Ji Aap Jaise
Allah Waloon Say Allah Bachae

Inki Fitrat Mein Hai Bewafaii
Janti Hai Yeh Sari Khudaii
Ache Achoon Ko Daite Hein Dhoka
Bhole Bhaloon Se Allah Bachae

Mast Mazron Se Allah Bachae
Maah Jamaloon Se Allah Bachae

Protect Us From Intoxicating Looks God
Protect Us From The Elegant Ones God
Put Anything Unto Us But
Protect Us From The Beautiful

Don’t Go On Their/Give Into Their Innocence
Don’t Be Misled/Betrayed By Them
They'll Rob You With Their Smile
Protect Us From Their Evil Plans God

With Their Cute Face And The Cute Talk
One Thing On Their Tongue Another In Their Heart
.
.

In The Heart There Is Desire For Nymph And Heaven
And In The Open The Interest In Prayers
From People Like You... Shaikh
Save Us From The God's People?

They Are Unfaithful By Nature
The Entire World Is Aware Of That
They Mislead The Best Of Best
Protect Us From The Cute Ones God

.
.

Different Version: 8:08minz

umr jalwon mein basar ho yeh zarori to nahi
her shab e gham ki sahr ho yeh zarori to nahi
neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
unki aaghosh mein sir ho yeh zarori to nahi

aag ko khail patangon ne samajh rakh hai
sub ko anjaam ka dar ho yeh zarori to nahi
shaikh karta hai jo masjid mein khuda ko sajde
iske sajdoon mein asar ho yeh zarori to nahi

sub ki saqi pe nazar ho yeh zarori hai magar
sub pe saqi ki nazar ho yeh zarori to nahi

koi dil mein liyeh armaan chala jata hai
koi khoye hoay ausan chala jata hai
husn walo se yeh kehdo ke na nikle bahir
dekhne walo ka eeman chala jata hai

mast mazron se Allah bachae
maahjamalon se Allah bachae

mast mazron se Allah bachae
maahjamalon se Allah bachae
her bala sir peh aa jaye laikin
husn waloon se Allah bachae

inki maasomiat per na jana
inke dhokay mein hargiz na aana
loot laitay hein yeah muskara ker
inki chaalon se Allah bachae

bholi surat hai baatein hein bholi
mou mein kuch hai magar dil mein kuch hai
laakh chehra saheeh chaand jaisa
dil ke taalon se Allah bachae

dil mein hai khuwahish-e-hoor-o-jannat
aur zahir mein shouq-e-ibadat
bus hamein shaikh ji aap jaise
Allah waloon se Allah bachae

mast mazron se Allah bachae
maah jamaloon se Allah bachae


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)