Nadeem Sarwar 2002 | ||||||||||||||||||||||||||||
Aao Iek Kaam Karain | ||||||||||||||||||||||||||||
Aie mere desh ke logo meri aawaz suno Meri aawaz mai maqtal ye aaghaz suno Kya khabar tum na raho (*2) Kya khabar hum na rahain Aao iek kaam karain karbala aam karain (*3) Jistarha saniye Zehra ne isse aam kiya Iek zanjeer kee jhankar ne woh kaam kiya Jistarha se shahoda ne safar-e-shaam kiya Yaani naizon se buland aur bhi islam kiya Hum issi tarze qayadat kee aata aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Ye Jo majlis hai madavah hai har iek gum ke liye Iek soogat hai ye deedayeh purnam ke liye sowze dil chahiye tehzeebai muharram ke liye Koi tafreeq nahi halka-e-matam ke liye Rone walon ke liye farshe aza aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Aao dekho ke ye khaima ye alam kiska hai Khoon se naam ye sehra pe raakam kiska hai Abhi tareeq se aage ye kadam kiska hai Sari duniya ko batadain ke ye gum kiska hai Sari duniya ke liye gum ke fizza aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Tum bhi seene mai ye gum leke chalo hum bhi chalain Tumbhi inkara sitam leke chalo hum bhi chalain Tumbhi hakka ye hasham leke chalo hum bhi chalain Tumbhi gazi ka alam leke chalo hum bhi chalain Har zamane ke liye zikre waafa aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Aisa aijaaz to tareekh ne dekha na suna Jo diya noor ke hatif shabb-e-ashoor bhuja Sab shaheedon ke dilon mai woh diya jaake jala Aaj bhi roshnee daita hai wohi iek diya Har andhere mai wohi iek diya aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Paas shabbir ke apne bhi hai aagyar bhi hai Khandane bani hashim bhi ansaar bhi hai Hoor bhi John bhi Akbar-e-jarrar bhi hain Jaan dene ke liye soobho se tayyar bhi hain Aise maqtal ke fizza ko ba khuda aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Qafila rehgaya iek dashte bala mai pyasa Jinki miraas thi kausar unhe paani na mila Ye sabilain unhi pyason se wafa hai bakhuda Koi pyasa na rahe thee ye Sakina ke dua Har zameen par ye Sakina kee dua aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Rehnuma qatl huwa qatl kayadat nah huwi Iek imam aur barha khatm imamat nah huwi Jisme rondai gaye paamal sharreyat nah huwi Chadarain chingayi batil ke hukumat nah huwi Ye Muhammed kai gharane kee waafa aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Mere maula mere aaka ye tera gum na rukain Kitne toofan bhi hila laye magar hum na rukain Aid aazadar ye majlis ye muharram na rukain Waqt kitna hee badal jaye ye matam na rukain Ye shahedon ka hai matam ba khuda aam karain Kya khabar tum Aao iek kaam Hal min naaseri yan sur na |
||||||||||||||||||||||||||||
Mei Yeh Nahi Kehti | ||||||||||||||||||||||||||||
Ghar se jane lagain Shabbir tau Sugra ne kaha Lai chalo mujko bhi bimar tumhe dengi dua Hojana khafa raaha mai gar royegi Sugra Yan neend kab aati hai jo aan soyegi Sugra Baba Baba tanhai saza hai mujhe aisee na saza do Mei yeh nahi kehti ke aamari mai bithado (*2) Baba Baba Baba mujhe Fizza kee sawaree mai bitha do Mei yeh nahi kehti ke aamari mai bithado (*2) Sab baithe sawari pe mai paidal hee chalungi Vada hai kissi ko koi takleef na dungi Baba baba amma se mai hargiz na kahungi ke dawa do Mai yeh nahi kehti Palkon se mai saya Ali Asgher pe karungi Amma kee sawari se bohat door rahungi Baba baba han kehke meri zeest ke kuch roz barha do Mai yeh nahi kehti Mai paani piloungi sawari ko tumhari Behlaoungi ruste mai Sakina ko tumhari Baba baba jo kaam kaneezon ke hai sab mujko batado Mai yeh nahi kethi Sab nazrain churate hain koi dum nahi bharta Sach hai koi moorde se mohabbat nahi karta Baba baba taukeer meri ye hai tau marne kee dua do Mai yeh nahi kehti Kya guzre gee jab gharse chalay jayenge Akbar Kaise mujhe har baat mai yaad ayenge Akbar Baba baba kab ayenge layne mujhe bhayya ye batado Mai yeh nahi kehti Han apni mohabba ka mai izhar tau karlun Tehro Ali Asgher ko zara pyar tau karlun Baba baba naake se chalak naneh musafir hee dikhado Mai yeh nahi kehti Rehan woh bimaar ye thak haar kai boli Ay Sarwar-e-zeeshan tamanna hai ye meri Baba baba jaate ho tau turbat meri tum khud hee banado Mai yeh nahi kehti Baba baba mujhe Fizza kee sawari mai bitha doo Mai yeh nahi kehti kai aamari mai bithado (*2) |
||||||||||||||||||||||||||||
Ya Zahra | ||||||||||||||||||||||||||||
Ya Faitma Zehra Ya zehra Ya zehra (*5) Maa dardo jahan Fatima jaan dilba do basti Muhibban do hasti (*2) Ay umme abhi haa (*2) Ay umme fathee haa (*2) Ay umme abhi haa bajaza bagaire dasti Muhibban do hasti (*2) Maa dardo jahan Ummi day shifa aazeh tu ay Fatima Zahra Khatoone jinnah warise tatheer sara paa Ashraafe nisan aks nabi aks khudai jaa Meezan-e-waafa roohe dua Fatima Zahra Ya Fatima Zehra Maa dardo jahan Uftada daare khana tora pehlu shakista Ummat ne tera haak na diya Fatima Zehra Mohsin ke shahadat ka sabab bangayi duniya Virsa hai tera ashk-e-aza Fatima Zehra Ya Fatima Zehra Maa dardo jahan Ay ashk fishan baade nabi binte payambar Tha soog mai baba ke aaza khana tera ghar Rote teh teray sath Ali Sarwaro Shabbar Ay khasta jigar mehvay buka Fatima Zehra Ya Fatima Zehra Maa dardo jahan Dar karbobala tishna laabi teray pisar kee Taaraj huwi kistarha Zehra teray gharkee Baigoro kafan laash rahi noor-e-nazr kee Aalamba khuda soog mai tha Fatima Zehra Ya Fatima Zehra Maa dardo jahan Bachon pe teray fawje sitam gaar ke yaalgar Zanjeer baakaf taauq garan Abid-e-bimar Darbar alum qaide sitam duktare gum khwar Aada ke sitam qumba taira Fatima Zehra Ya Fatima Zehra Maa dardo jahan Ay sarwaro rehan saare majlise Shabbir Jab Fatima hoti hai dilafgar gulugeer Manzar woh kahan tak koi karsakta hai tehreer Rota hai kalam likkhe saada Fatima Zehra Ya Fatima Zehra Maa dardo jahan Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra |
||||||||||||||||||||||||||||
Kulsum Ne Mehmil | ||||||||||||||||||||||||||||
Yus Rub nazar aya (*3) Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya Yus Rub nazar aya Apna tha watan aur (*3) Paraya nazar aya Kulsum ne mehmil Moo dhamp ke rone lagi Ahmed kee nawasi Veeran Daroo aam teh Allah hai udasi Ujra Bani Hashim ka (*3) Mahella nazar aya Kulsum ne mehmil Woh galliyan jahan Awno Muhammed kabhi kehle Abdullah wahan phir teh the khamosh akele Har simt mai bachon ka (*3) Sarapa nazar aya Kulsum ne mehmil Sugra ne khabar payi ke lotayi musafir Khush hogayi roze pe nabi ke huwi hazir Kya soocha tha Sugra ne (*3) Usse kya nazar aya Kulsum ne mehmil Ujri huwi har mang thi har gowd thi khalee Asghar ka shaluqa tha Sakina kee thi baali Abbas ka parcham bhi (*3) Akela nazar aya Kulsum ne mehmil Jis waqt ruki nana ke roze pe aamari Naake se ghiri khaak pe woh dard kee maari Rota huwa nana ka (*3) Jo chehra nazar aya Kulsum ne mehmil Sugra ne kaha amma se kyun gowd hai khaali Iek aaha bhari Bano ne kuch muu se na boli Rone lagi jalta huwa (*3) Jhula nazar aya Kulsum ne mehmil Bin bhai ke daakhil huwi jo apne hi gharme Gash aagaya taakat na rahi kalbo jigar mai Baigoro kafan bhai ka (*3) Laasha nazar aya Kulsum ne mehmil Hujre mai nazar aye nahi Kasimo Akbar Kehne lagi mai choor gayi thi ye bhara ghar Har kabr ke maahawl mai (*3) Dhalta nazar aya Kulsum ne mehmil Bistar tau wahan Awno Muhammed ke saaje the Aur taak mai Asgher ke khiloone bhi rakhe the Lekin na koi khelne (*3) Wala nazar aya Kulsum ne mehmil Ai Sarwaro Rehan ghume shah he huda se Saydaniya uttheena kabhi farshe aza se Ankhon mai lahoo hoton pe (*3) Noha nazar aya Kulsum ne mehmil Yus Rub nazar aya (*2) |
||||||||||||||||||||||||||||
More Coming!! | ||||||||||||||||||||||||||||
HOME | ||||||||||||||||||||||||||||