Nadeem Sarwar 2001 | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Al Quran | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Quran Woh Qitab Hai Jo Darse Inqilab Hai Hamari darsegah Hai seedah raasta Karbala (*2) Quran woh kitab Bes mera bejahan bismillah Subha nallah ye quran allah allah Ummul kitaab hai ye mashaallah Iek iek surah hai universallah Quran woh kitab Quran ki gawd ka iek iek surah Woh mahe da ho ke yaseeno taha Sura-e-maryam-o- rahman-o- shora Parteh hi rehte hain rab ka qasida Quran woh kitab Quran ke shaan hai shaane Muhaamed Quran hai meezan-e-Muhammed Farman-e-Rab farman-e-Muhammed Nukta-e-ba quran Muhammed Quran woh kitab Kaise quran hai humtaq aya Kissne sikhaya hai kissne parhaya Hai kis gharhane ka ye sarmaya Jaan deke isko hai kisne bachaya Quran woh kitab Bibi bacha quran bhi dekho Baqi raha imaan bhi mano kiya gaya kisska ye bhi to soocho Ghar to luta sayyada ka hai logo Quran woh kitab Woh karbala woh nabi ka gharana Quran idhar to udhar hai zamaana Iek Iek pareka maqtal jana Khoon main naha ke ye sabko batana Quran woh kitab Ye karbala ye hai shaame gareeban Woh jalte khaiman woh ayate quran khaimon main bali Sakina pareeshan Zainab pukari ye barsare maidaan Quran woh kitab Dekha na hoga kissi ne ye manzar Jo karbala main tha rehano sarwar Be parda sari thi aale payambar Iek sar ye kehta tah noke sina par Quran woh kitab |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Zuljanah | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Zuljanah........ay zuljanah (*2) Zuljanah (*2) bigo kujo baba hussaina Gumshuda baba kujja Zuljanah bigo Ah sheshud ba bara Zuljanah bigo Zuud begon majerah Zuljanah bigo Zuljanah Zuljanah tera hay ye rona (*2) Karta hai mushkil ab mera jeena Pooch rahi hai tujse Sakina (*2) Bol kahan hai mera baba Zuljanah Choor ke tanha aaya jo tuhai (*2) Mathe pe tere kiska lahoo hai Iss main to mere baaba ki buu hai (*2) Bol kahan hai mera baaba Zuljanah Aat pahar se pyasa tha baba (*2) Lashon pe laashe laya tha baba Zakhmi badan tha zakhmi kaleja (*2) Bol kahan hai mera baba Zuljanah Pehli hi tujse main ne kaha tha (*2) Baba ko mere ran main na leja Hai na maana tu mera kehna (*2) Bol kahan hai mera baba Zuljanah Zuljanah le chal baba jahan hai (*2) Itna batade soye kahan hai Tujko pata hai woh meri jaan hai (*2) Bol kahan hai mera baba Zuljanah Jab to chala tha baba ko lekar (*2) Yaad to hoga tujko woh manzar Tere sumon se lipti thi rokar (*2) Bol kahan hai mera baba Zuljanah Kaise bayan ho sarwar-o-rehan (*2) Shaam main har shaam rota hai zindan Abbhi Sakina kehti hai har aan (*2) Bol kahan hai mera baba Zuljanah |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Aa Mere Pyaare Hussain | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Aa mere pyaare Hussain (*3) Aa meri gowd ke pale mere Hussain aa Mere gareeb aa zaara maa ke kareeb aa Seena figar hai tera mujko hai ye pata Dashte bala main Fatema zehra ke thi saada Aa mere pyaare Kisne mere jigar pe ye khanjar chala diya Kisne mere Hussain ko pani nahi diya Khud chal ke kiyun na aagaya darya ko kiya huwa Iek baar maa pukar ke gowdi main layt jaa Aa mere pyaare Seh roz ke ye paas hai jalti huwi zameen Cherah lahoo lahoo tera doo neem hai jabeen Mazloom mere laal ke jaisa koi nahi Teeron se mere laal ka seena bhara huwa Aa mere pyaare Pehle to baba jaan ko roi main zaar zaar Roi Ali ko kabr main dil hogaya figar Iek laal tha Hassan mere uski hun soog waar Ab tere gum ne kabr main rehne nahi diya Aa mere pyaare Iek baar maa pukar le bilkul ussi tarha Jhule main jhoolte huwe kehte the jistarha Woh bachpana tere mujhe bhule ga kis tarha Mere bagair chain se iek pal nahi raha Aa mere pyaare Maa hun mujhe bata tere seene pe kiya huwa Kiyun hai qamar jhukee huwi chera lahoo bhara Abbas hai kahan Ali Akbar kahan gaya Han thak gaya hai aa meri gowdi main laal aa Aa mere pyaare Karte alam se seena-e-sarwar figar hai Rehan ye kalum hi bohat ashk waar hai Kaisi lahoo lahoo bhari maa ki pukar hai Tukre jigar ke karti hai Zehra ki ye saada Aa mere pyaare |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Gazi Abbas | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Yabna Zahra.......Ya Abbas (*2) Ya Abbas (*4) Ya sayyadi ya abbas (*4) Ghazi alam tera ooncha rahega Ya Sayyadi ya abbas (*2) Ghazi alam tera ooncha rahega Kal bhi alam tera ooncha raha hai (*3) Aaj bhi hai aur kal bhi rahega Ghazi alam tera Tere alam ke sayye main duniya apni muraade maang rahi hai (*2) Tere alam ke saaye main aakar (*2) Jo nahi manga woh bhi milega Ghazi alam tera Isko Abu Talib ne banaya mere nabi ne isko saajaya (*2) Binte Asad ne sehera charhaya (*2) Zehra ke bachon pe saaya karega Ghazi alam tera Han ye alam Hamza ka alam hai han ye alam Jafar ka alam hai (*2) Han ye ghadeere kum ka bharam hai (*2) Sab parchamon ka ye maula rahega Ghazi alam tera Chadare Zehra iska pharera pat ka bhi hai Zainab ki dua ka (*2) Aise bandhi hai mashq-e-Sakina (*2) Rishta alam se iska rahega Ghazi alam tera Bhool nahi sakta ye zamana paani pe parcham ka lehrana (*2) Haath katana mashq bachana (*2) Ban ke waafa tu zinda rahenga Ghazi alam tera Yun to bohat Zainab pe sitam tha lekin woh gum jo kohe alam tha (*2) Woh tera ghum tha woh tera ghum tha(*2) Dil tere ghum main rota rahega Ghazi alam tera Zerey alam rehan-o-sarwar nauha paro yun ashq baha kar (*2) Shad ho Zahra binte payambar (*2) Ashqe aza ye kehta rahega Ghazi alam tera Kal bhi alam tera ooncha raha hai (*2) Aaj bhi hai aur kal bhi rahega Ghazi alam tera |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Aacha Kiya Baba | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Chahat ka meri kaisa ye mujko seela diya Aacha kiya baba jo mujko bhula diya.......baaba Aacha kiya baba Zinda raho hazaro baras shaadmaa raho Baba zameen pe banke saada aasman raho Quran tumpe saya kare tum jahan raho Parti hun har namaaz main (*2) Baba yahi dua..........baaba Aacha kiya baba Baba tumhare baad main khusiyon se door hun Lekin tumhari raha main takti zaroor hun Beemar nataawan hun ghamon se main choor hun Abke to din bhi eid ka (*2) Rokar guzar gaya.......baaba Aacha kiya baba Raaton ko jaag jaag ke karti hun ye dua Kunbe ko raas aye mere dashte karbala Darya ke paas khaiman ho sheh ka laga huwa Gharmi ke din hai amma (*2) Ke sarpar rahe rida......baaba Aacha kiya baba Asghar ko bhejdo Ali Akbar ko bhejdo Kuch roz ko sahi meri maadar ko bhejdo Koi nahi to bas meri khahar ko bhejdo honton pe ab to Sugra (*2) Kadam hai ruka huwa......baaba Aacha kiya baba Karta hai kaun yun bhi mareezon se itna pyaar Main gul khizan raseeda hun tum ho meri bahar Waise bhi ab naseeb main mere hai intezar Bhujta huwa charag hun (*2) Apne mazar ka.........baaba Aacha kiya baba Han ye kalak hai amma ne mujko kiya na yaad Akbar ko lene ayenge kitna tha aytemad Allaha ab to puri karega meri muraad Ayega jab madineh main (*2) Karbal ka qafila......baaba Aacha kiya baba Lagta hai meri kabr pe aouge ay padar Woh bhi agar ponhonch gayi takdeer se khabar Talqeen parna paouge bazoo ko thaam kar Tanhayan uthaengi (*2) Taboot bhi mera......baaba Aacha kiya baba Ay Sarwar-o-Rehan koi jaake ye kahe Sugra woh saneha kahan maloom hai tujhe Baba shaheed hogaye bhai nahi rahe Roro ke roz kisko (*2) Tu deti hai ab saada.....baaba Aacha kiya baba |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Chaliye Madina | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Chaliye madina (*4) Chaliye madina ay phuppi chaliye madina Hogaya chelum karchuki matam Zindagi bhar hai abto muharram Aray taaba qayamat ab hai tarapna Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina Bangayi kabrain nazr diladee Ashqon ki chaadar sab ko urhadee Aray ghar chalo abto jee khol ke rona Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina Ay phuppi amma hogi qayamat Pooche jo baba hamse bareeqqat Kiyun nahi ayi bali Sakina Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina Kabre nabi par pehle chalenge Girya karenge noha parhenge Aray guzri jo humpar nana se kehna Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina Sugra ka shikwa chalke metado Gash mai hai Sugra usko jaaga do Margaye Akbar ye na batana Chaliye phuppi amma chaliye madina Chaliye madina Royengi kabtak nehre kanare Ab na milenge ammu hamare Aray hamko alam hai unka uthana Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina Kaid main guzra sara muharram Majlison matam karna sake hum Ghar main aza ka farsh bechana Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina Kehte teh Abid Sarwar-o-Rehan Aap ke sadke main hun phuppi jaan Hukme imamat ab hai nibhana Chaliye phuppi amma watan chaliye madina Chaliye madina |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Ye Chaand Tare | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Ya Hussain (*4) Ye chaand taare ye phool kalliyan (*2) Hussain ka gum mana rahe hain Ye chaand taare Ye chaand taare ye phool kalliyan (*2) Hussain ka gum mana rahe hain (*2) Jahan main saare Hussain wale (*3) Hussain ka gum mana rahe hain (*2) Ye chaand taare Jaleele kaaba kahan ho aawo (*2) Khaleele karbobala ko dekho (*2) Hussain jalti huwi zameen se (*3) Pisar ki mayyat utha rahe hain (*2) Ye chaand taare Hussain ke ye jigar ke taaqat (*2) Hai jisse ayyub ko bhi hairaat (*2) Galle pe khanjar rawan hai lekin (*3) Hussain kalma suna rahe hain (*2) Ye chaand taare Kahin pe Akbar sa gul badan hai (*2) Kahin pe Kasim gulle Hassan hai (*2) Jigar ke tukron se shahe wala (*3) Zameene maqtal saaja rahe hain (*2) Ye chaand taare Naajane Zainab ne kaise dekha (*2) Aajeeb manzar woh karbala ka (*2) Hussain ghir ghir ke uth rahe hain (*3) Tarap ke Akbar bula rahe hain (*2) Ye chaand taare Chaarage Khaiman bhuja ke sarwar (*2) Bana gaye hain iek aise lashkar (*2) Inhi charaagon ke roshini se (*3) Chaarag sab jag maga rahe hain (*2) Ye chaand taare Ye urthe baadal ye behte dariya (*2) Sunno zaara kiya bata rahe hain (*2) Jahan khuda hai wahan Hussaini (*3) Hussain ka ghum mana rahe hain (*2) Ye chaand taare Padar ke seene pe sone waali (*2) Summo se rehwar ke hai lippiti (*2) Sakina shayad saamaj gayi hai (*3) Ke baba murne ko jaa rahe hain (*2) Ye chaand taare Jahan jahan bhi Hussainiyat hai (*2) Rehano Sarwar ye baat saach hai (*2) Hussain waale alam utha kar (*3) Hussain ka ghum mana rahe hain (*2) Ye chaand taare Ye chaand taare ye phool kalliyan (*2) Hussain ka ghum mana rahe hain (*2) Jahan main saare Hussain wale (*3) Hussain ka ghum mana rahe hain (*2) Ye chaand taare |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Aaray O Shaam Waalon | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Sakina ki saada hai Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Aaray o......shaam waalon Sakina ki saada hai Aaray o.......shaam waalon Khafan baba ko dedo Aaray o Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Mere pyaare jo ammu aaj hote Kabhi na iskadar majboor hote Ghadai karke laate magar tumse na kehte Aaray O Chacha ka sar ye naize se hatado Saray Shabbir pe parda oorah doh Ye ghum kitna bara hai Meri maa beridah hai Aaray O Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Main khaatoo ne jina ka aeena hun Rasan basta aseero beridah hun Meri janib na dekho Mera kurta phata hai Aaray O Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Woh seena mere baaba ka kahan hai Suna hai barsare raige tappan hai Nahi hai woh seena Kahan sooye Sakina Aaray O Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Mere ghar ke kaneezain baridah hain Qayamat hogayi hum beridah hain Sitam kitna bara hai Phuppi ka sar khula hai Aaray O Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Yateemon ko saatana kab raawa hai Dukhe dil ko dukhana kab raawa hai Sitam jo chahe karlo Magar iek kaam kardo Aaray O Aaray o shaam waalon Aaray o koofe waalon Rehayee ke tamanna marchuki hai Ye zindan meri manzil aakharee hai Magar baaba se kehna Ab aana shaam aana Aaray O Karo Rehano Sarwar aaho zaari Sakina ne woh shab kaise guzaari Tha sar gowdi main sheh ka Laboon par tha ye nawha Aaray O |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Ya Ali Maula | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Ya Ali Maula Haider Maula (*4) Dil main saaja ke rakha hai Ya ali maula Har maulaee kehta hai Ya ali maula Bigree banade aaye sawaali koi na jaye khaali (*2) Aaj ghadeere jaam pilade ay waliyon ke waali (*2) Teri ankhe mere maula sabko dehkne waali (*2) Chasme karam ne teri maula ghum se bacha ke rahka hai Ya ali maula Nagri nagri tere mawali tere kalandar maula (*2) Dharti dharti tere ghadagar fakre tawangar maula (*2) Bezar tere darpar aakar hogaye buzar maula (*2) Apna wazeefa nade ali ko sabne bana ke rakha hai Ya ali maula Peer fakeer malang mawaali aur kalandar saeen (*2) Kambar meesam buzar salma maleeq-e-ashtar saeen (*2) Karte rahe hain karte rahege Haider Haider saeen (*2) Aaj bhi simpt ne maula kadam ko sar pe utha ke rakha hai Ya ali muala Tera naara sunkar mushkil mushkil me parjaye (*2) Dushmane eman dehk ke tujko dharti main gar jaye (*2) Lakhon ke lashkar se maula tanha too larjaye (*2) Tere khuda ne tujko apni taig bana ke rakkha hai Ya ali maula Tera ghar noorani maula ghar hai tera noorani (*2) Tere ghar main joo surat hai surat hai koor aani (*2) Tu kulle eeman hai maula zikr tera eemani (*2) Rab ne tere naam se apna naam mile ke rakha hai Ya ali maula Tera sakhi darbar hai maula saree duniya jaane (*2) Koi khuda kehta hai koi sakee kausar maane (*2) Koi nahi pehchana tujko sirf nabi pehchane (*2) Shaire ilm ne tujko apna dar jo bana ke rakha hai Ya ali maula Maaleeke kausar maaleeke jannat warise quran hoke (*2) Iek iek boond ko nehre kanare tere baache tarse (*2) Jalgaye khaimain lutgaya saaman chin gayi chaadar saarse (*2) Dil ko tere karbobala na hi dukha ke rakha hai Ya ali maula Karbobala ne aath paher main kiya manzar dihklaya (*2) Fatema zehra ne marqad main iek pal chaaine na paya (*2) Laash pe tere laal ki maula ghoron ko doraya (*2) Naize par tere pyaaron ke sar ko utha ke rakha hai Ya ali maula Rabbe zidni ilma kehkar shaire najaf main aaye (*2) Humne to Rehan-o-Sarwar ilm ke moti paee (*2) Ya ali maula haider maula tujse aas lagaye (*2) Shukre maula shukre maula labpe saja ke rakha hai Ya ali maula Dil main saja ke rakha hai Ya ali maula haider maula (*2) |
||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
Home |